Posts
Showing posts from August, 2014
Makaan ki upari manzil par ab koi nahi rehta…Gulzar and me
- Get link
- X
- Other Apps
Gulzar saab mesmerizes again with this beautiful description of a house, full of nostalgia and yearning, leaving you with a sense of familiarity and belonging. The link below has Gulzar saab reading the Urdu poem, which is equally enchanting: Makan ki upari manzil pe aab koi nahin rehta Woh kamre band hain kabse, jo chaubeez seediyan untak pahunchti thi woh ab upar nahin jati Makan ki upari manzil pe aab koi nahin rehta Wahan kamron mein itna yaad hai mujko, Khilone, ek purani tokri main bhar ke rakhe the Bahut se toh uthane, phekhne, rakhne main churan ho gaye Wahan ek balcony bhi thi, Jahan ek bayeth ka jhula latakta tha Mera ek dost tha, woh tota woh roz aata tha, usko hari mirch khilata tha Usi ke samne ek chathh thi jahan ek mor baitha aasmaan pe raat bhar meethe sitare chubta rehta tha Mere bachon ne woh dekha nahin, Woh neeche ki manzil par rehta hain Jahan par piano rakha hai, purane Parsi style ka Frasier se kharida tha, Magar kuch besuri awaazain karta h...